Ek sapna haseen tar dekha
Ye jahan dil nasheen tar dekha
Chand hum ney zameen per paya tha
Khod ko arsh-e-baren pey paya tha
Wo haqeqat tha aik sapna sa
Ghair ho key bhi apna apna sa
us ka lehja tha dhema dhema sa
Ankhon ankhon mein baat kehta tha
us ki ankhein bhi khawab jesi the
Khobsurat saraab jesi thi’ein
Wo wafa ka yakeen delata raha
Wadey karta raha bhulata raha
Phir achanak pata chala hum ko
Hum sey kuch wasta nahi us ko
Youn wo ankhon mein bo gaya gham ko
Ek pachtawa dey gaya hum ko.
No comments:
Post a Comment