Hain aankhein jheel si chehra kitaab jaisa hai
k meray yar ka her naqsh khawab jaisa hai
kisi bhi baat par ab bheegti nahi aankhen
k apna haal bhi sookhay chanaab jaisa hai
ye aarzu hai kabhi to andheri shab meri milay
wo ak shakhs k jo mahtaab jaisa hai
ye saaz e jaan to khamosh ek umer se hai
agarcha lehja abhi tak rubaab jaisa hai
main us k husn ki tareef kis tarha se karun
wo aftaab sa wo mahtaab jaisa hai.
No comments:
Post a Comment