Saturday, August 31, 2013

Uski paayal agar chhanak jaaye


Uski paayal agar chhanak jaaye
Gardish'e aasmaan bhatak jaaye

Uski hansne ki kaifiyat tauba
Jaise bijli chamak chamak jaaye

Uski gardan ka tazkira sun kar
Jo suraahi hai wo chhalak jaaye

Le agar jhoom kar wo angraai
Zindgi daar par laTak jaaye

Aise bharpoor hai badan uska
Jaise saawan ka aam pak jaaye

Chuur hai aise baankpan uska
Jaise das das k saanp thak jaaye

Haaye us mehjabee'n ki yaad
Jaise seene me damm attak jaaye.

Tasveer Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi


Tasveer Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi
Ye Tri Tarha Mujh se To Sharrma Na Sake Gi

Maen Baat Karun ga To Ye Khaamosh Rahe Gi
Seeney Se Lagaa Longa To Ye Kchh Na Kahe Gi

Uljhii Hui Ratoon Ko Ye Suljhaa Na Sake Gi
Ye Aankhen Han Thehri Hoi Chanchal Wo Nigaahen

Ye Haath Han Sehmey Hoe Aur Mast Wo Baahen
Parchaai To Insan Ke Kaam Aa Na Sake Gi

In Hontoon Ko KhayaL Maen Kchh De Na Sakunga
Is Zulf Ko Maen Hath Mei Bi Ley Na Sakun Ga

Aaram Wo Kiya De gi Jo Tarrpa Na Sake Gi
Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi.

Hain aankhein jheel si chehra kitaab jaisa hai


Hain aankhein jheel si chehra kitaab jaisa hai
k meray yar ka her naqsh khawab jaisa hai

kisi bhi baat par ab bheegti nahi aankhen
k apna haal bhi sookhay chanaab jaisa hai

ye aarzu hai kabhi to andheri shab meri milay
wo ak shakhs k jo mahtaab jaisa hai

ye saaz e jaan to khamosh ek umer se hai
agarcha lehja abhi tak rubaab jaisa hai

main us k husn ki tareef kis tarha se karun
wo aftaab sa wo mahtaab jaisa hai.

Agar tujhe meri mohabbat ki khabar ho jaye

Agar tujhe meri mohabbat ki khabar ho jaye
Tera jeena meri yaadon mein basar ho jaye

Teri zulfon ki siaahi se meri shaam dhale
Teri aankhon k ujalon se Sehar ho jaye

Mein tere jism ki khushbu se mehak Jaon
Jab teri yaad k jhonke ka guzar ho jaye

Main ne raaton ki Namazon mein tujhe manga hai
Kash ab meri duaon mein asar ho jaye

Meri talash meri zindagi ka hasil tu
Mera rasta hai wahi ab tu jidar ho jaye.

Wednesday, August 28, 2013

Hawa Ka Lamas Jo Apne Kowarh Kholta Hai


Hawa Ka Lamas Jo Apne Kowarh Kholta Hai
Tu Dair Tak Mere Gar Ka Sakoot Bolta Hai

Hum Ayse Khak Nasheen Kab Labha Sakain Gay Usay
Wo Apna Akas Bhi Mezan e Zar Mein Tolta Hai

Jo Ho Sakay Tu Yahi Raat Urh Lay Tan Per
Buja Charagh Andhere Mein Kiyn Tatolta Hai

Usi Se Mang Lo Kherat Us Kay Khawabo Ki
Wo Jagti Hoi Ankho Mein Nind Golta Hai

Suna Hai Zalzala Ata Hai Arash Per Mohsin
Kay Be Gunah Laho Jab Sana Pay Bolta Hai.

Ankho Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta


Ankho Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta
Ye Dil K Muje Chain Se Marne Nahi Deta

Bicharay to ajeeb payar jatata hai khato mein
Mil jaye tu phir had se guzarne nahi deta

Wo shakas khiza rut mein bhi muhtat rahay kitna
Sokhay hoye pholo ko bikharne nahi deta

Ik roz teri payas khariday ga wo ghabro
Pani tuje panghat se jo bharne nahi deta

Wo dil mein tabasam ki kiran gholne wala
Rothay to roto ko bhi sanwarne nahi deta

Mein us ko manao k gham e dehar se uljhon
Mohsin wo koi kaam bhi kerne nahi deta.

Deti hai sukoon rooh ko kaanton ki chubhan bhi


Deti hai sukoon rooh ko kaanton ki chubhan bhi
Khushbu se kabhi hoti hai seenay mein jaln bhi

Aansoo hi nahi haasil-e-izhar-e-gham-e-dil
Honton se larzti hai tabbassum ki kiran bhi

Ehsaas k andaz badal jatey hein warna
Aanchal bhi usi taar se banta hai kafan bhi.

Main Apna Aaj Apna Kal Tumharay Naam Karta Hoon


Main Apna Aaj Apna Kal Tumharay Naam Karta Hoon
Main Is Jeewan Ka Har Ak Pal Tumharay Naam Karta Hoon

Mera Guzra Howa Kal Tu Meray Maazi Ka Hissa Hay
Main Apna Aaj Apna Kal Tumharay Naam Karta Hoon

Khezaen  Sardiyaan Garmi  Bahaarain Barishain  Jaara
Main Har Mousam Ka Har Har Pal Tumharay Naam Karta Hoon

Tumharay Dukh Udaasi  hum Sabhi Ranj o Alam Lay Kar
Main Yeh Khushyon Bhari Chaagal Tumharay Naam Karta Hoon

Seetaray Aasmaan Kay Sab Tumhari Maang Main Bhar Kar
Shab -e- Taira Ka Sab Kajal Tumharay Naam Karta Hoon

Tumharay Bin Ye Har Ak Pal Mujhay Be-Chain Rakhta Hay
Main Apna Dil Jo Hay Be-Kal Tumharay Naam Karta Hoon

Barasta Bheegta Mousam Hay Kamzori Meri Lakin
Main Yeh Saawan Ghata  Badal Tumharay Naam Karta Hoon.




Kabi Nadaan Kerti Hai Kabi Heraan Karti Hai


Kabi Nadaan Kerti Hai
Kabi Heraan Karti Hai

MUJHE MALOOM HAI SHAYAD
Boht Nuqsan Karti Hai

Ye Ghar Weeran Karti Hai
Jahan Hon Ronaqain

Zinda Woh Dil Sunsan Krti Hai
Magar Ab Sun Mere Humdam

Mujhe Karni Mohabbat Hai
Mohabbat Wo Haqiqat Hai

Jo Dil Abaad Karti Hai
Muhabbat jeet hoti hai mgr

ye haar jati ha
kbi dil-soz lamho se

kbi be-kaar rasmon se
muhbat khud nai marti

muhbt maar deti ha.

Abhi to dil mein halki si khalish mehsoos hoti hai,


Abhi to dil mein halki si khalish mehsoos hoti hai,
  Bohat mumkin hai, kal is ka mohabbat naam ho jaye

Agar tujhe meri mohabbat ki khabar ho jaye


Agar tujhe meri mohabbat ki khabar ho jaye
Tera jeena meri yaadon mein basar ho jaye

Teri zulfon ki siaahi se meri shaam dhale
Teri aankhon k ujalon se Sehar ho jaye

Mein tere jism ki khushbu se mehak Jaon
Jab teri yaad k jhonke ka guzar ho jaye

Main ne raaton ki Namazon mein tujhe manga hai
Kash ab meri duaon mein asar ho jaye

Meri talash meri zindagi ka hasil tu
Mera rasta hai wahi ab tu jidar ho jaye.

Maan Achi Tarah Tyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai


Maan Achi Tarah Tyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Bohat Sa Pyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai

Sabhi Behno Ki Muhabbat Aaj Muje hi Ko Dey Do
Dil-o-Jaan Nisaar Karna Aj Mera Akhri Din ha

Abbu ha Ammi ha Behan Bhai ha Saray
Muj Ko Na Shumar Karna Aj Mera Akhri Din ha

Tumhay Staya Tumhay Rulaya Bohat Dukh diye hai tum ko
Mujhe Maaf Meray Yaar Karna aj Mera Akhri din ha

Mai Chala KHUDA HAFIZ Phir Milay Gey Jannat ma
Maa Akhri Baar Pyar Karna Aj Mera Akhri Din ha.

Dil To Kehta Hai Zamanay Say Chopaloon Tujh Ko


Dil To Kehta Hai Zamanay Say Chopaloon Tujh Ko
Dil Ki Dharkan Ki Tarha Dil May Basaloon Tujh Ko

Koi Ahsaas Judai Ka Hum Na Rahnay Dain Gey
Iss Tarha Khud Me Meri Jaan Samaloon Tujh Ko

Tu Jo Rothay Kabhi Mujh Se Meray Dil Kay Maalik
Sari Duniya Se Khafa Ho K Bas Mana Loon Tujh Ko

Jab Bhi Dekhon Teray Chahray Pe Udasi Ka SamaaN
Yehi Chahoon K Kisi Tarha Main Hasaloon Tujh Ko

Tu Jo Thak Har K Lootay To Yehi Meri Khuwahish Hai
Apni Palkoon Ki Chaoon Main Sulaloon Tujh Ko.

Sadyon Se Ik Sapna Hai Kaho Pura Karo Gey Tum


Sadyon Se Ik Sapna Hai
Kaho Pura Karo Gey Tum

Bhool Jao Mere Siwa Sub Kuch
Kaho Aisa Karo Gey Tum

Nhi Kuch Or Tamana Ab
K Bus Mere Ho Jao Tum

Kbhi Na Chor K Jaana
Kaho Aisa Karo Gey Tum

Faqt Ik lafz Sunne Ko
Kai Barso se Tarsi Hun

MUJHE APNA BANA LO Tum
Kaho Aisa Karo Gey Tum.

Kaash Pas SoOtay Tum Agar To Laab ChoOm K Jagatay Tum Ko

 
Kaash
Pas SoOtay Tum Agar To Laab ChoOm K Jagatay Tum Ko
Rakh K Dil Pe Tumhara Hath Apni Dharkan Sunatay Tum Ko

In Beekhri C Zulfon Me Jo Dekhtay Tumhara Chaand Sa Chehra
Hata K Chehray Se Zulfain Teri Apni Aankhon Me Sajatay Tum Ko

Teri Aankh Khol Janay Pe Mujhe Muhabbat Bhari Nazar Se Dekhna
Ley Kar Baanhon Me Tujhe Apne Pyar Ka Junoon Dikhatay Tum Ko

Phir Jo Tum Mujh Se Apne Sukoon-e-Qalb Ki Aarzoo Kartay
Rakhtay Sar Tumhara Apne Seenay Pe Or Phir Se Sulatay Tum Ko
Kaaaaash Pas Sotay Tum Agar.

Hijar k Mousam mein ya Barish ka barsna kesa


Hijar k Mousam mein ya Barish ka barsna kesa
Ek sehra se samandar ka guzarna kesa

Aey mere DiL na pareshan ho tanha ho kar
Wo tere sath chala kab tha Bicharna kesa

Log kehte hain Gulshan ki tabahi dekho
Main to viran sa jangal tha Ujarna kesa

Dekhne mein to koi dard nahi Dukh bhi nahi
Phir ye Ankhon mein Yun Ashkon ka Ubharna kesa

Bewafa Kehne ki Jurrat bhi na karna usko
Us ne iqrar kiya kab tha mukarna kaisa.

Kabhi Aye Haqeeqat e muntazar Nazar Aa Libaas e majaaz Mein



Kabhi Aye Haqeeqat e muntazar Nazar Aa Libaas e majaaz Mein
Ke Hazaaron Sajde Tadap Rahe Hain Meri Jabeen e niyaaz Mein

Na Bacha bacha Ke Tu Rakh Ise Tera Aaeena Hai Vo Aaena
Ke Shikasta Ho To Azeeztar Hai Nigaah e aaiinaasaaz Mein

Na Vo Ishq Mein Raheen Garmiyaan Na Vo Husn Mein Raheen Shokiyaan
Na Vo Gaznavi Mein Tadap Rahi Na Vo Kham Hai Zulf e aayaaz Mein

Main Jo Sar ba sajda Huaa Kabhi To Zameen Se Aane Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam Aashanaa Tujhe Kya Milega Namaaz Mein.

Tuesday, August 27, 2013

Dard Mein Bhi Ye Lab Muskura Jate Hain


Dard Mein Bhi Ye Lab Muskura Jate Hain
Beete Lamhe Humein Jab Bhi Yaad Aate Hain

Mere Kaandhe Pe sar k0 jhukaana tera
Mere Seenay Mein Khud K0 Chupana Tera

Aa K Meri Panah0'n Mein Sham-0-Seher
Kaanch Ki Trhaa W0 To0t Janaa Teraa

Aaj Bhi Jab W0 Manzar Nazar Aatay Hain
Dil Ki Veeraaniy0'n K0 Mitaa Jaate Hain

Dard Mein Bhi Ye Lab Muskura Jate Hain
Beete Lamhe Humein Jab Bhi Yaad Aate Hain.



Main Ne Har Roz Dua Me Tujhe Manga Hai


Main Ne Har Roz Dua Me Tujhe Manga Hai
Hoon Bewafa Magar Wafa Se Tujhe Manga Hai

Kabhi Sajde Me Ja Kar Pooch Rab Se K
Main Ne Kis Kis Ada Se Tujhe Manga Hai

Jise ek baar chahaa sadaa us ke rahe



Jise ek baar chahaa sadaa us ke rahe
Hum log imaanat main khayanat nahi kerte.

Nice Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Teri aankh se jo haseen ho woh nigaah jag mein bani nahin
Tere rukh ko jis se misaal doon koi aesa phool khila nahin

Yeh jo teri zulf ka hai haashiya yeh jo tera chahra khushnuma
Koi raat aesi seyaah nahin kisi subah main yeh jilaa nahin.

Monday, August 26, 2013

Best Poetry, Best Heart Touching Poetry, Urdu Best Poetry,


Tasveer Banata Hoon Tasveer Nahi Banti
Ek Khawaab Sa Dekha Hai Taabir Nahi Banti

Bedard Mohabbat Ka Itna Sa Hai Afsaana
Nazron Se Mili Nazrein Wo Ho Gaya Deewana

Ab Dil Ke Bahelane Ki Tadbeer Nahi Banti
Dam Bhar Ke Liye Meri Dunya Main Chale Aaoo
Tarsi Hoi Aankho Ko Phir Chehra Dikha Jaoo

Mujh Se To Bigri Hoi Takdeer Nahi Banti
Tasveer Banata Hoon Tasveer Nahi Banti.


Best Heart Touching Poetry, Best Poetry, Urdu Poetry, Urdu Best Poetry,


Yeh Hawaon K Musafir  Yeh Samundaron K Raahi
Meray Sir Bakaf Mujhahid  Meray Sar Shikan Sipahi

Yeh Tera Yaqeen Mehkam  Teri Himmaton Ki Jaan Hai
Teray Bazo’uon Ki Kuwwat Teray Azm Ka Nishaan Hai

Tu Hi Raah Tu Hi Manzil Tu Hi Meer E Karwaan Hai
Yeh Zameen Teri Hai  Yeh Jahaan Tera Jahaan Hai.

Best Poetry, Best Heart Touching Poetry, Urdu Best Poetry,


Wo log bahut Khush qismat the
jo ishq ko kaam samajhate the

yaa kaam se aashiqii karate the
ham jiite jii masaruuf rahe

kuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaa
kaam ishq ke aaray ataa rahaa

aur ishq se kaam ulajhataa rahaa
phir aaKhir tang aakar ham ne

donon ko adhuuraa chhor diyaa.

Best Poetry,


Ae Kaash Kahin Qudrat Ka Ye Nizaam Hua Karey
Tujhy Dekhney k Siwa Na Mujhy Koi Kaam Hua Karey.

Sad Image Poetry, Sad Poetry,


Qatil qatal kar chuka tha tarap rahi thi lash meri aur
Rooh thi meri gardish mein Phir bhi thi DIL ko talash teri.

Thursday, August 22, 2013

Best Poetry, Heart Touching Poetry, Nice Poetry, Urdu Poetry, Urdu Best Poetry,


Mohabbat ko laazim hai awaargi bhi
Nahin Ishq karta assar bethey bethey.

Best Heart Touching Poetry, Best Poetry, Love Poetry, Nice Poetry, Urdu Poetry, Urdu Best Poetry,


Hamaray beech ka faasla tou chaar qadam tha
Tae kiya to sadiyon ki musafat thi

Ujray to hum they is ishq mein
Chehray pe us k saray zamanay ki thakan thi

Muddat baad usey pareshan dekha hai
Aansuon mein doobi na janay kin sochon mein magan thi

Tum to mujhy faramosh kar gaye they lekin
Tujhy faramosh karny mein ik sadi lagi thi

Aaj gali mein kah raha tha koi k
Wo chorr gai hai jisy Gul ko inteha ki lagan thi.

Nice Poetry, Pashto Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Best Poetry,


Best Poetry, Heart Touching Poetry,


Best Poetry, Love Poetry, Nice Poetry, Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry

 
Wo Dulhan Ke Roop Mai Khari Thi
Par Wo Kisi Or Kelye Saji Thi

Aaj Bhi Uska Roop Wohi Suhana Tha
Jise Mai Dekhta Tha Or Dewana Tha

Usay Pane Ki Justuju Thi Usay Pana Tha
Par Usay Kahan Meri Zindagi Mai Ana Tha

Ankhon mai Ashk Liye Dekhta Reh Gaya
Meri Ankhon se Ashkon ka Tofan Beh Gaya

Wo Dulhan K Roop Mai Khari Thi. .
Mere Liye Nahi Kisi Or Kelye Saji Thi

Dil Mai Jo Dhak Dhak Ho Rahi Thi
Mere Dil Ki Dharkan Bhi Ro Rahi thi

Pocho Na Mujse Kya Beeti Mujpar Kya seh Raha Tha
Uski Doli Ko Jate Howe Dekh Raha Tha

Wo Dulhan K Roop Mai Khari Thi
Par Wo Kisi Or Kelye Saji Thi.

Urdu Poetry, Love Poetry,


Heart Touching Poetry, Best Poetry, Best Heart Touching Poetry, Sad Love Poetry, Urdu Poetry,


Best Heart Touching Poetry, Best Poetry,


Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Sad Image Poetry, Nice Poetry,


Best Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,


Iqbal Poetry,


Wednesday, August 21, 2013

Chahe Jidhar Bhi Rukh Ho Hawa Ka Diya Jale


Chahe Jidhar Bhi Rukh Ho Hawa Ka Diya Jale
Jab Tak Chala Na Jaaye Andhera Diya Jale

Milta Rahe Jahan Ko Ujala Diya Jale
Dil Ki Ye Aarzoo Hai Hamesha Diya

Ghar Ho Kisi Amir Ka Ya Ho Gharib Ka
Har Ghar Me Aaj Sham Khushi Ka Diya Jale

Dipawali Ki Sham Kuchh Aisi Ho Roshni
Mit Jaye Har Burai Ka Saaya Diya Jale

Taarikiyan Hon Raat Ki Tu Ho Mere Qarib
Dekhun Main Tere Husn Ka Jalwa Diya Jale

Honton Se Tu Pilaye Main Peeta Rahun Sharab
Bujhne Na Paaye, Pyaas Ka Aisa Diya Jale

Fezan Roshni Ho Mohabbat Ki Bazm Me
Shamma Jale Chiragh Jale Ya Diya Jale.

Baaton Baaton Mian Bicharney Ka Ishara Karkey


Baaton Baaton Mian Bicharney Ka Ishara Karkey
Khud Bhi Roya Woh Buhat Ham Se Kinara Karkey

Sochta Rehta Hoon Tanhai Main Anjam-E-Khuloos
Phir Usi Jurm-E-Mohabbat Ko Dobara Karkey

Jagmaga Di Hain Terey Shehrer Ki Galiyan Main Ne,
Apney Askhon Ko Palkon Pe Sitara Karkey

Dekh Letey Hain Chalo Hosla Apne Dil Ka
Aur Kuch Roz Tere Saath Guzara Karkey

Aik Hi Sheher Main Rehna Hai Magar Milna Nahi
Dekhtey Hain Yeh Aziyat Bhi Gawara Karkey.

Monday, August 19, 2013

Sad Love Poetry,


Sad Love Poetry,


Sad Image Poetry,


Faraz Poetry., Ghalib `s Poetry, Iqbal Poetry,Saqi Poetry,


Sad Love Poetry,


Best Heart Touching Poetry, Best Poetry, Urdu Best Poetry,


Sad Poetry,


Love Poetry, ,


Sad Love Poetry,


Love Poetry,


Best Heart Touching Poetry,


Nice Poetry,


Best Heart Touching Poetry, Best Poetry,